Kuch dafa pehle ek chot si lagi thi,
thodi gehri aur kaafi zor lagi thi.
Cheenkhte reh jao dard aisa hua,
bezubaan hum reh gaye, kya kahien kuch aisa hua.
Gila shikhwa toh achanak raha hi nahi,
theek hone lage tab khair humne kuch kaha bhi nahi.
Par baat aisi hai ki laut ke ja paaye bhi agar vahi,
un silsilon se hum taluqaat rakh paayenge nahi.
Ageh badne ka sukoon ek baar chakh lo agar,
adhoori baatoon ki na parwah hoti hai, na rehti hai koi khabar.
Waqt ke taqaaze mien samajh aaya vo kuch chand mamooli se hi zakhm the,
aur shiqaayatien toh arson pehle hi khatm the.
Zakhm hi toh the jo itne waqt baad ab bhar gaye,
koshish hi toh karni thi, bass vo hum puri kar gaye.
Until next time
Love, always
S
Comments
Post a Comment