Toh kuch aisa hai,
ki maloom nahi tujhse roothna kaisa hai..
Tere lafzon ki ruhaaniyat zehn mien rehti hai,
tujhse naraaz hona manzoor nahi mujhse aqsar ye kehti hai..
Mera sukoon kab teri inaayat ban gaya,
kuch dabi dabi saansien aur mai tere ishq mien qaid reh gaya..
Kaafi dur ho gaye hum, sab kuch thoda dhundla gaya,
intezaar nahi kia maine par teri awaaz ke lie khud mien hi mayassar reh gaya..
Meelon paar aur kuch arso pare,
musalsal tera gun gunana mujhe iss duniya se aghwaa kare..
Mai hasste hasste teri justujoo mien doobta jau,
koshish meri puri thi ki mai ye dill sambhaal lu par teri qurbat mien mai kuch bhi na soch pau..
Lekin maanga toh maine usse yahin tha ki ho jau mai tujh hi mien muqammal,
akele aaya tha tujhe vapas bulane bina shiqwe, bina kisi halchal..
Dheere se tujhe bataye apne saare sirr-e-ulfat,
tab jaake samajh aaya tu hamesha se hi toh mere saath tha, bina uzr aur bina kisi mazrat..
Until next time,
Love, always
S
Comments
Post a Comment