Kuch baatien aisi hai
jo sirf tere jaisi hai
Mantaqe dill tera
jazbaati tera dimaag
Tabassum tera dhoop ki jhalak si
aajisi mach gayi dekhte hi
Harr choti cheez ka dhyaan tujhe
koi baat aisi nahi jo tujhse chupe
Tujhe kaafi kam log samajhte hai
khaami nahi teri, qusoor unke taghaful ka hai
Khoya kabhi, kabhi thoda sehma
khush mijaaz, kabhi tez bole toh kabhi dheema
Teri harkatein pyaari hai shayad tujhe pata nahi
mujhse ukhdaa rehta par tu khafaa nahi
Kuch baatien aisi hai
jo sirf tere jaisi hai
Mantaqe dill tera
jazbaati tera dimaag
Tabassum tera dhoop ki jhalak si
ajeeb aajisi mach gayi dekhte hi
Bevkoofi dekh meri mai samajh nahi paayi
Ki mai tujhse mehdud kyu reh gayi
Kyuki kuch baatein aisi hai
Jo sirf tere hi jaisi hai
____
Love, always
S
Comments
Post a Comment