Thodi pagal thodi si nakchadi
uske pehle bhi aisi uske baad bhi
Usne kuch badal diya tha mujhe
ya yun keh lo maine khud ko thoda badal liya tha
Dheere dheere roz fir se jeena seekha
kal thoda aaj thoda
Bass khud ko ye bata rahi hun ki
mai thoda khush thoda udaas hun
Mai khud se kaafi waqt baad mil rahi hun
thoda totla rahi hu thoda ladkhada rahi hun
jod rahi hun mai saare tukde
panne palat te hue thoda musqura bhi rahi hun
Hum ageh badte rahe yuhin lekin dua mien hamesha yaad rahe
uski fariyaad kar rahi hun
Usko nahi bhool rahi
bass khud ko zyada yaad ho rahi hun
Chota sa pitaara aur khushiyan itni ki sambhalne ko zyada
itne kisse humare par aisa lag raha hai hume waqt mila tha bass aadha
Mai ek aur baar unse chahti hu guzarna
ek baar naye se purani baatien mehsoos chahti hu karna
Guftugu jo uski baaton mien beeti hai
mai bhool gayi thi ki hawa uske bina bhi meethi hai
Dhoop uske bina bhi garam hai
muddaton baad apne yaaron ke gale milne ka ehsaas ab bhi naram hai
___
Comments
Post a Comment