Ye kaisa mazaak hai
tujhse tutke judne ke liye
musalsal zakhm bharne ke liye,
tere paas aane ka hisaab hai?
Rukh quadrat ka mudh gaya
chand ka noor ba-dastoor
mulayam thodi zyada dhoop,
tujhse dur jana tha par main tujh hi se judh gaya.
Tere ishq mien shayad mera naam kahin kho gaya
zindagi ka ye modh toh dekh
tu meri taraf chalta raha,
aur mai tere intezaar mien baithe baithe so gaya.
Par ay Ghalib mujhe samjha
ki tera kaisa ye mazaak hai
tujhse kayi dafa toot ke,
tere hi paas laut aane ka hisaab hai?
____
Until next time,
Love, always
S
I think ye hindi font mein aur jyada classic lagegi
ReplyDelete