Kuch baatien aisi hai jo sirf tere jaisi hai Mantaqe dill tera jazbaati tera dimaag Tabassum tera dhoop ki jhalak si aajisi mach gayi dekhte hi Harr choti cheez ka dhyaan tujhe koi baat aisi nahi jo tujhse chupe Tujhe kaafi kam log samajhte hai khaami nahi teri, qusoor unke taghaful ka hai Khoya kabhi, kabhi thoda sehma khush mijaaz, kabhi tez bole toh kabhi dheema Teri harkatein pyaari hai shayad tujhe pata nahi mujhse ukhdaa rehta par tu khafaa nahi Kuch baatien aisi hai jo sirf tere jaisi hai Mantaqe dill tera jazbaati tera dimaag Tabassum tera dhoop ki jhalak si ajeeb aajisi mach gayi dekhte hi Bevkoofi dekh meri mai samajh nahi paayi Ki mai tujhse mehdud kyu reh gayi Kyuki kuch baatein aisi hai Jo sirf tere hi jaisi hai ____ Until next time Love, always S
Poetry, rants, coffee, slow afternoons, sometimes art and, everything in between.