Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2025

Aadat.

Khaama-khaayii kaisi ye  aadat , Chalo maana jaayaz tumhari shiqayat. Kabhi baaton ka rang udh jaaye, kabhi khamoshi ruk jaaye, Dil ke pardon ke beech koi purani dhoop thodi der tik jaaye. Kabhi tumhari parwah hawa ki tarah aakar guzri, par kaha nahi, Jhaank ke jab tumne apne dill ko dhoonda, tumhe vo mere paas mila, vahan nahi. Masle toh the, par jaise sirhaane se khud hi phisal gaye, Sargoshii ke taar bhi ek din be-sabab sisak gaye. Mohabbat nahi, par ek narm si hasrat tumhari reh gayi, Guftugu nahi, par ek halki si mehfil dil mein beh gayi. Sabr aur khair tera aqsar kare zikr, Qissa na bhi sunau intezaar ka, mujhe phir bhi rahegi thodi fikr. Na hi jaan aur na koi pehchaan, toh bewajah yeh kaisi shiqayat? Fitoor mera tum toh nahi, phir bhi kaisi ye  aadat ?