And so the night hums like an old song, the kind that plays softly in the background of a memory you’re not sure is yours. A story waiting to be told, or maybe just a moment waiting to pass. Either way, the night will keep moving. Well, force of habit. Kabhi khabar poochi, toh kabhi poochi khair, Seher pe shuru hue tere naam pe— bilkul fikr bagair. Kabhi dekha nahi jise, kabhi jisse nahi hui mulaqaat; Wajood nahi jiska zehan mein, uski phir bhi sunaayi deti hai har ek baat. Shikayat karta hai vo mujhse— Dhoonda nahi use shayad poore dil se. Chahe pukara ho use jaan nisaar, Magar jatate kis haq se? Bayaan karne ki koshish ki ahista, Par bayhiss hi bol paaye. Guftagu ke zariye ibaadat humne ki, Lekin kaafir hum kehlaaye. Maanga roz tujhe usse, Jaise koi ho dastoor. Woh ho gaya thoda naraaz, Par isme mera kya kasoor? Kuch waqt sa guzar gaya, Ek arsa jaise dheeme dheeme jiya. Mazaak mein pareshaan tu kar baitha, Aur aashiq hume keh diya. Shayad kabhi tujh tak ye...
Poetry, rants, coffee, slow afternoons, sometimes art and, everything in between.